Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Wednesday, 29 August 2012

पैगाम

जब नज़रे तुम पर पड़ती हैं,
तब साँसे मेरी बढती हैं|
जब साँसे मेरी चलती हैं,
वो याद तुम्हे बस करती हैं|
जब याद तुम्हारी आती है,
बस आंसू ही कुछ कहते हैं|
जब आंसू मेरे बहते हैं,
दिल में एक दर्द सा उठता है|
जब दिल मेरा यूँ रोता है,
एहसास अजब सा होता है|
जब हवा मुझे यूँ छूती है,
मेरे कानो में कुछ ये कहती है|
जब लहरों से मै लडती हूँ,
कुछ हिम्मत मुझमे आती है|
हम जल्द ही फिर से साथ होंगे,
शायद यही पैगाम ये देती है|

Friday, 24 August 2012

KHUDI

KHUDI

Khudi sae milker,ae main nae poocha
Kae tujh sae bardh ker,hai aur kiya,kiya

Sawaal sunker,wo muskuraya
Sawaal maera,usae lubhaya

Jawaab kuch is treh tha uska
Jawaab koi nahin hai,jis ka

Khudi sae bardh ker koi nahin hai
Khudi jahan hai,khuda wahin hai

Agar hai daulat ,jo tum ko ber-ter
Dasaega ek din ae naag bunker

Agar hai,chehrae pae naaz tumko
Rakhoonga ussae main baaz tumko

Sabhi ae cheezaen hain aani jani
Lagaegi waesae tumhaen suhani

Mera hai maqsad,tumhaen bachana
Sharar sae duniya ki hai chudana

Agar mujhae tum nae apna mana
Na jhooti duniya main dil lagana

AE maal-o-zar kae,zameen kae jhagdae
Na aesae jhagdoan main din bitana

bahut bura hai ,,bura zamana
Meri panahoan main khud ko lana

Ae RAZ ki baat main kahoongi
Khudi ki khtir main mer mitoongi

Khudi sae bardh ker koi nahin hai
Khudi jahan hai,Khuda wahin hai

My Best Friend

Today I found a friend,
Who knew everything I felt.

He knew my every weakness,
And the problems I've been dealt.

He understood my wonders,
And listened to my dreams.

He listened to how I felt about life & love,
And knew what it all means.

Not once did he interrupt me,
Or tell me I was wrong.

He understood what I was going through,
And promised he'd stay long.

I reached out to this friend
To show him that I care.

To pull him close and let him know
How much I need him there.

I went to hold his hand
To pull him a bit nearer.

And realized that this perfect friend I found
Was nothing but my mirror.

Kuch Yun

Kuch yun dil machla hai aaj likhne ke liye,
Haath na ruke kisi naye falsafe ke liye...

Roothi tanha zindagi aaj bhi jaari hai doston,
Haari nahi hai himmat mushkilon se ladne ke liye....

Be-paigaam hum aaj is mehfil mein hue jo shaamil,
Umeed hai gussa na ho ap is tishnagi ke liye....

Bharosemand haalat ne saath na diya mera,
Dohraai hui baat hai fir se karne ke liye...

Roshni aaj bhi kayam hai mehfil ki waise,
Keh gaya tha dost se diye jala rakhne ke liye....

Manzil hai meri ya nahi koi kaise kahoon,
Jitna aata hun kareeb woh badti hai door jaane ke liye...

Ab yehi raah par shayad tujhe hai marna
AGar ho koi zindagi jeeni to baad marne ke liye...

Aisay main mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga

Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga
seenay maiN ajab aik talatum sa bapa hoga
monh zor say jazbooN nay jo bechain kiya hoga
uljhee hoee sansooN nay mera naam liya hoga
rukhsaar pay kakul nay preshaan kiya hoga
Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga


moajooN ki tarah sochaiN bekal hoi jati hooN
parday pay tasawwer k , ik shakal bnaati hooN
ya zehn k khalyooN maiN tahreek si lati hooN
bay wajha sahi phir bhi , dil thaam liya hoga
Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga


bay naam kasak say jab raataiN sulag uThti hooN
aawaaz say boondooN ki saansaiN dehak uThti hooN
aahaT pay her ik dil ki kalyaaN lehak uThti hooN
aanchal ka kinara tab daantooN maiN liya hoga
Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga


shiddat ka ho jo moasam ya kuch badal raha ho
taareek tanha kamra ya tum ko Dass raha ho
chori say khawab koi aankhooN maiN bass raha ho
takye ko dahal ker jab pahloo maiN kiya hoga
Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga


rukhsaar pay kajal say koi til jo bnao gay
zulfooN ko bekhairo gay ya ghaza lgao gay
aaeinay ki marzi say jab khud ko sajao gay
or jab bhi kabhi solah singhaar kiya hoga
Aisay maiN mujhay tum nay bohat yaad kiya hoga

WAQT

Waqt bud-dua bhi hai
Waqt ek dua bhi hai

Waqt hukmaraan hai
Waqt iltija bhi hai

Waqt hai inaam bhi
Waqt ek saza bhi hai

Waqt bae-zabaan kabhi
Waqt ek sada bhi hai

Waqt hai ameer bhi
Waqt ek gada bhi hai

Bae-maza hai ae kabhi
Waqt main maza bhi hai

Waqt hai tera kabhi
Waqt ae mera bhi hai

Waqt hai bura kabhi
Waqt ae bhala bhi hai

Waqt dard bhi hai
Waqt ek dawa bhi hai

आँखें

सावन था बहुत ज़्यादा फिर कैसे जली आँखें
आँखों में पले आँसू आँसू में पली आँखें

वो सामने है मेरे ना ये ऐतबार आया
छू के उसे देखा कभी अपनी मली आँखें

वो छोड के गया जब मैं घर को आ गया तब
तलशे यार में भटकी पर हर गली आँखें

है ये उन दीनो की बातें जब प्यार ना हुआ था
भोला सा था चेहरा थीं कितनी भली आँखें

सौ बार ये कहा था मेरे ख्वाब ना भरो तुम
तुम ने बिगाड़ ली हैं ये अच्छी भली आँखें

लोगों ने ये भी देखा फिर राज़ क्यों ना जाना
जब चिता जल रही थी ना साथ जली आँखें

इक रात ऐसी गुज़री वो ख्वाब में ना आए
इक आग सी लगी थी शब भर जली आँखें

रुक जाता हूँ मैं अक्सर थकती नही ये लेकिन
मुझ से हमेशा आगे हर सफ़र चली आँखें

जब सब कुछ मिट गया है तू सामने क्यों आया
मेरी ये जली आँखें तेरी भी जली आँखें

जब भी उसे देखा दिल की नज़र से देखा
वो तब भी नज़र आया जब मेरी ढली आँखें

नही

अब मेरे दर्द का अंदाज़ नही
तुम जो कल थे वो आज नही

हर किसी से ये नही निभता
प्यार रवायत ओ रिवाज़ नही

मेरी बात ग़ज़ल में कह दूँगा
फिर कभी मगर आज नही

वो चला गया उसे जाना था
गया है मुझ से नाराज़ नही

बातें ऐसी हैं कि प्यार मिले
बस मेरे पास अंदाज़ नही

किस हाल में हूं जान ने के सिवा
उस को भी काम काज़ नही

मेरी सोच भी खुदा जैसी है
आख़िर नही आगाज़ नही

कत्ल कर के सर उठा के चल
मूह छुपाने का याँ रिवाज़ नही

तुम ने क्या खो दिया मासूम
ये समझोगे मगर आज नही