Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Love Shayari

Ghum Se Begana Bana Deti Hai Chahat UsKi
Ghum Se Begana Bana Deti Hai Chahat Uski
Main Bhala Kaise Bhula Doon Yeh Inayat Uski
Main Kabhi Khud Se Juda Usko Nahin Kar Paya
Meri Ek Umer Ka Haasil Hai Mohabbat Uski
Koi Ja Kar To Zara Itna Bata De Usko
Mujhko Usse Bhi Zyada Hai Zarurat Uski...



Meri Nazar Mein Rahti Hai
Meri Nazar Mein Rahti Hai Ek Khwab Si Ladki
Ke Jaise Saans Leti Hui Mehtaab Si Ladki
Main Usse Faasla Na Rakhta To Aur Kya Karta
Main Hawaon Sa Paagal.. Woh ek Chiragh Si Ladki
Use Suna Nahi.. Mehsoos Kiya Hai Maine
Har Ek lafz Pe Chup Hai Woh ek Kitaab Si Ladki
Darmiyaan Mein Hamare Hazaron Hijaab Hain Lekin
Phir Bhi Zahir Hai MujhPe Woh Naqaab Si Ladki
Uske Samne Mein Be-Zubaan Sa Rah Jata Hun
Kai Sawaal Liye.. Woh Jawaab Si Larki.



Chahta Hu 
USKI EK JHALAK MAIN PANA CHAHTA HU
USE MAIN APNE DIL ME BASANA CHAHTA HU
BHAGWAN KARE WO HAAN KAR DE
USE MAIN APNI ZINDAGI BANANA CHAHTA HU.



MUJHE TERI YAAD REHTI HAI 
Mere dil ki sada
ter sath rahti hai
tu janha bhi rahe
hamesha mujhe teri
yaad yaad rahti hai

aata nahi hai mujhko
ijhar karna pyar ka
isliye dil me mere
yehi fariyad rahti hai
tu bhi jaan le kabhi
mere is dil ki baat ko
isme hansi sugat rahti hai

tu janha bhi rahe
mujhe teri yaad rahti hai.



Na Wo Sapna 
na wo sapna dekho jo toot jai
na wo hath tahmo jo chhoot jai
mat aane do kisi ko bhi itne kareeb ke
uske dur jane ke baad insan khud se rooth jai.



Jab Kisi Ki Aadat Ho Jati Hai
 Ankho ko jab kisi ki chahat ho jati hai
Use dekh ke hi dil ko rahat ho jati hai
Kaise bhool sakta hai koi kisi ko
Jab kisi ko kisi ki aadat ho jati hai
Mohabbat kuchh is kadar ho jati hai usse
Ke rabb se pehle uski ibadat ho jati hai.



Ek Lamha Mujhse Gujara Nahi Jata 
Ek samundar hai jo mere kabu me hai
Or ek katra hai jo mujhse sambhala nahi jata
Ek umar hai jo mujhe bitani hai tere bagair
Or ek lamha hai jo mujhse gujara nahi jata.



Sajaya Nahi Jata 
Mohabbat Ka Pata Bataya Nahi Jata
Kisi Dost Ko Kabhi Bhulaya Nahi Jata
Apko Rakha Hai "Dil" Me Us Jagah Par
Jaha Har Kisi Ko Sajaya Nahi Jata.



Rishton Ki Ye Duniya 
Rishton Ki Ye Duniya Hai Nirali
Sab Rishto Se Pyari Hai Dosti Tumhari
Manzoor Hai Ansoo Bhi Aakhon Me Hamari
Agar Aa jaye Muskan Hothon Pe Tumhari.



Dost Mil Jate Hai 
Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chhu Jate Hain
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain
Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain.


Shiyakat 
Unhe Ye Shikayat Hai Hamse
Ki Ham Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hai
NaSamajh Hai Wo Kya Jane
Hame To Har Chehre Me Wo Hi Nazar Ate Hai.


SMURTI 
ISS JANAM ME NAHI BHARA DIL
LENGE JANAM HUM EK BAR PHIR
LADNA JHAGADNA ISS TARAHA TUM
PYAR KABHI NA KARNA KAM.


Na Jaane Kyu 
Na jaane kyu ye tanhai hai meri zindagi me
na jaane kyu main sochta hu ek humsafar mil jaye
na jaane kyu mujhe is kadar pyar hai tujhse
na jaane kyu in aankhon me sirf tera chehra hi nazar aaye
na jaane kyu in jheel si aankho me kho jata hu main
na jaane kyu mujhe ye din bhi raat najar aaye
na chahte huye bhi ishq kar baitha hu tujhse
na jaane kyu meri har chahat me bus tu hi najar aaye
na jaane kyu wafai hai mere pyar me tere liye
aur na jaane kyu tere pyaar me mujhe bewafai najar aye.



Main Mom Hu 
Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samundar nahi dekha
Bewaqt agar jaunga sab chaunk padenge
Ek umar hui din me kabhi ghar nahi dekha
Jis din se chala hu meri manzil pe nazar hai
Ankho ne kabhi mil ka patthar nahi dekha
Yeh phool mujhe kisi ne Virasat me diye hai
Tumne mera kaanto bhara bistar nahi dekha
Patthar mujhe kehta hai mera chahne wala
Main mom hu usne mujhe chhoo kar nahi dekha.



Haal-e-dil 
tumse do pal ki judai hum
sehan nahi kar sakte hain
be inteha muhbbat hai tumse
bas keh nahi pate hain. 



Kabhi Kabhi Hamein 
Kabhi Kabhi hamein bhi yaad kar liya karo
hamari tasveer bhi dekh ke choom liya karo
maana ke tumhe kisi cheez ki kami nahin hai
par hamein bhi kabhi apni dua mein shamil kiya karo.



Jab Se Dekha 
Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta.



Aye Khat 
Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare gar voh faad bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle.


Majboor Mohabbat 
Majboor mohabbat jata na sake
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake
Chahato ki had tak chaaha use
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na sake.



Har Raat 
Har raat ek dhun gungunati hai
har phool se mehak zarur ati hai
apke man me beshak hamara khayal tak na ho
par hame to har waqt aapki yaad aati hai.



Izhare-e-mohabbat 
Gar karte na wo izhar-e-mohabbat humse
na deewane hote hum unke is kadar
chand ki chandni se bhi khoobsurat tha noor unka
parda nashi ho gaye wo bina kisi khabar.




Ash-aar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain 
Ash-aar mere yun to zamane ke liye hain
kuchh sher faqat unko sunane ke liye hain
ab ye bhi nahin theek ki har dard mita dein
kuch dard kaleje se lagane ke liye hain
aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khwaab to palakon pe sajane ke liye hain
dekhuun tere haathon ko to lagta hai tere haath
mandir mein faqat deep jalane ke liye hain
socho to badi cheez hai tahaziib badan ki
varna to badan aag bujhane ke liye hain
ye ilm ka sauda, ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain.



Mere Hamnawa 
Mere hamnawa teri berukhi
dil-e-mubtila ki shikast hai
ise kis tarah main kahun fana
ye meri anaa ki shikast hai
Tu chala gaya mujhe chhodkar
maine phir bhi tujhko sadaaein di
mere humsafar tu ruka nahi
ye meri sada ki shikast hai.



Khush Toh The Aleke Safar Main 
Khush The Akele Safar Mein Hum
Ki Ittifaaq Se Ek Anjaana Saathi Mil Gaya
Saath Chala Wo Kuch Door Aise
Ki Laga Saara Zamana Mil Gaya
Chalte Chalte Hua Wo Meharbaan Hum Pe Kuch is Tarah
Jaise Pyaar Se Koi Deewana Mil Gaya
Manzil Alag Thi Humari, Mushkil tha Safar Humara
Mera Itna Sa Samjhaana Aur Use Alag Hone Ka Bahana mil Gaya
Kuch is Tarah Chali Aandhi Raat Mein
phir Se Akele Reh Gaye Hum
Aur fir safar virana mil gaya.



Masoom Mohabbta Ka Fasana 
Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai
Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Shart-E-Mohabbat Hai
Kya Shart-E-Zamana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai
Uss Paar Utrne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai
Toofaan Bhi Aana Hai
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-E-Mohabbat Ko
Ek Khaas Ko Aankhon Se Ek Sher Sunaana Hai.



Naa Woh Aa Sake 
Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake
Naa dard dil ka kisi ko suna sake
Bus baithe hai yaadon mein unki
Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.



Pagalpan Ki Hdd Se 
Pagalpan Ki Hdd Se Gujarne Lage
Unse Pyar Itna Karne Lage
Khud Ko Bhula Diya Itna
Jitna Unhein Yaad Karne Lage.



Yaad Aaunga 
Har us lamhe me yaad aaunga
jam tum tanhayee me roya karogi
jagte-jagte thak kar soya karogi
ankh ke band hote hi yaad aaunga.



Gam Nahi 
Gam nahi wahan jahan ho fasana tera
Khushiya dhundti rahe aashiyana tera
Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho
Ye duniya bhula na sake muskurana tera.



Muskarte Rahe 
Muskurate rahe sada aap hazaro ke bich
jaise hasta hai ful baharo ke bich
Roshan rahe chehara aapka sada
jaise roshan hai chand sitaron ke bich.



Faasle Mita Kar 
Faasle mita kar aapas mein pyar rakhna
pyar ka rishta yu hi barkaraar rakhana
bichhaa jaye kabhi aap se hum
to ankho mein hamesha hamara intezaar rakhna.




Mujhe Khamosh Raahon Me 
Mujhe Khamosh Raahon me
Tera Saath chahiye
Tanha hai Mera Haath
Tera Haath chahiye
Mujh ko mere Muqadar par
itna Yaqeen to hai
Tujhko bhi Mere Lafz
Meri Baat chahiye
Main Khud apni Shayary ko kiya Acha Kahun
Mujh ko Teri Taareef
Teri Daad chahiye
Ehsas-e-Muhabat Tere hi Wastey hai
Laikin Junoon-e-Ishq ko
Teri har Soughat chahiye
Tu mujh ko Paany ki Khwahish rakhta hai shayad
Lekin Mujhe Jeene ke liye
Tera hi Saath chahiye.



Mujhe Hai Teri Talaash 
Mere zahan mein tum ho
mere khawabon mein tum ho
aa jao ki bane pyar ki ik daastaan
mujhe hai teri talaash
Fakat tera tassavur
na khawaahish koi aur
aao iss tarah
na ho koi darmiyaan
mujhe hai teri talaash
Mera pura zahaan tumse
roshan har fizaan tumse
hai yahi zustazu
na lo aur imtihaan
mujhe hai teri talaash
Jagaado mukkadar, deedaar dedo
muhhabat ka humko paigaam dedo
aa jaao, na reh sakain ik lamha
mujhe hai teri talaash. 



Na Khuda Dil Banata 
Na khuda dil banata na kisise pyar hota
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna..





Muhabbt-e-ikrar 
Aaj pher li unhone aankhe humse
Jo humpe jaan nisaar karte the
Aaj naam lete bhi katraate hain
Jo kabhi humse muhabbt-e-ikrar karte the.



Yeh Kaisi  
 Yeh kaisi chahton ka silsila hai
usse na shikayat hai na koi gila hai
zindagi hume kis mod pe le aayi hai
na use pane ki himmat hai
na use khone ka hausla hai.


Bahut Mushkil 
Bahut mushkil se kal ki raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aai na khawaab koi
Bas aap ke khayalon ke saath guzri hai.


Teri Duniya Se Jaaye Kaise 
Teri duniyaa me aaye, aaye to kaise
Tere dil me khud ko basaaye to kaise
Maine to duao me sirf use maangaa hai rabba
Agar bewfaae karke bhi jaaye to kaise.



Duriya 
Humse dur joage kaise?
dil se hume bhulaoge kaise?

humse dur jaoge kaise?
dil se hume bhulaoge kaise?

hum wo khushbu hai jo saanso me baas jaate hai
khud aapni hi saanso ko rok paaoge kaise!



Kitna Pyar Hai Unse Hume 
kitna pyar hai unse hume
unhe ye main bataun kaise

dil me base hain wo kis kadar
ise cheer kar unhe main dikhaun kaise

unhe to fursat hi nahi hamare pyar k liye
aur unki yaad me,ye har pal main bitaun kaise

kitna pyar hai unse hume
unhe ye main bataun kaise

na mil paane ki majburi,baat bhi to nahi hoti thodi
apne is nadan dil ko,phir bolo main samjhaun kaise

aankhon me har pal hai wo,dil-o-dimag pe wahi hai chaye
koi jara bata de mujhe, dil-o-dimag se usse nikalun kaise

haan dil me base hai wo is kadar
ise cheer kar unhe main dikhaun kaise.



Kyun Bahana Bana Leti Ho? 
kahti ho ki pyar nahi hai mujhse
phir kyun mujhe dekhte hi
palke jhuka leti ho
nazre chura leti ho
kyun bahana bana leti ho?



Koi Baat Chhupana 
koi baat chhupana jaruri na hogi
tere mere beech koi doori na hogi
jab na honge hum is duniya me to sapno me milna
waha to aap ki koi majburi na hogi.




Zubaan Hai 
Zubaan hai sirf ek zariya nahi
Jo aap shabdon ko samajh payenge
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhieya
Hazaroon alfaaz khud ba khud bikhar jayeinge.



TERI MUSKURAHAT MERI PEHCHHAN HAI 
TERI MUSKURAHAT MERI PEHCHHAN HAI
TERI KHUSHI MERI JAAN HAI
KUCH BHI NAHI MERI ZINDAGI BUS ITNA SAMAJH LE
KI TERA PYAR HI MERI SHAAN HAI.




Chahe Wafa 
Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho.
Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho….



Aap Hame Rulado 
Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi…



Pyar Ka Anjam 
Pyar ka anjam kaun sochta hai,
Chahne se pahle niyat kaun dekhta hai.
Mohabbat hai ek andha ehsas,
Karte hain sab par mukam kaun janta hai….



Jo Nahi Milta 
jo nahi ata uska intezar kyo hota hai
kisi ke liye apna ye hal kyu hota hai
yu to duniya me kafi log pyare hai
par jo nahi milta usi se pyar kyu hota hai...... 

1 comment:

  1. Read Romantic Love Shayari, Hindi Love Shayari, प्यार की शायरी in Hindi and Dil Se Dil Ki Shayari Online.

    ReplyDelete