meri diwangi men logon ko bas paagalpan nazar aata hain,
mujhe har uss lamhen men apnaa saajan nazar aata hain,
lagta hain har dhadkan jaishe uske huqm ki gulaam ho gai,
dil ki ujhadi riyasat pe ab bhi uska saasan nazar aata hain,
uss se barsaat -e - ishq ki maine to ek boond hi chaahi thi,
par gam se chalkataa huaa apna daaman nazar aata hain,
badi muddatoN tak jishe apna aashiyana kaheta raha tha,
ab waha ek tuta makan aur suna aaNgan nazar aata hain,
ye ummid na rakh ke pal men baras ke chala jayega,
Kabhi na thamne wala dard ka ye saawan nazar aata hain.

No comments:
Post a Comment