Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Friday, 27 July 2012

Agar kuchh naam dena ho

Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaaniyat k abb yahan per daam hotay hain
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa

Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahin rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa

Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahin kehna
Agar kuchh naam dainaa ho

Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi

Aanay nahin dainaa
K qeemat aansoon ki abb adaa tum se nahin ho gee
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa
Mujhay aankhon mainn bastaa ik haseen sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina

Ke sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apnaa Nahin Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hain

No comments:

Post a Comment