Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Wednesday, 25 July 2012

jaisay sooraj ki kiran

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus?at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta?alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!

No comments:

Post a Comment