Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Friday 27 July 2012

Rang

Ek sirf tujhe apna maana tha hum ne,
KHUDA ki kasam KHUDA jaana tha humne,

Bhula baitha tha  apna sab kuch,
Sirf aur sirf tujhe jaana tha hum ne,

Gum kya hote hai yeh bhi yaad na tha,
Apne ko sirf tari banho main paaya tha humne,

Tanha samajte the jo hum khud ko hamesha,
Naam tera lake apne pe garrur kiya tha humne,

Bhula ke ki pyar ki jindgi do din ki hai,
Apne ko tujh pe mitaya tha hum ne,

Yaad tujhe jarur hoga wo jamana ae kaatil,
Apne ko katel kar ke, tujhe sajaya tha humne,

Aaj jee raha hai tu jo shaan ki jindgi,
Us jindgi ko lal rang diya tha humne,

Baitha hai aaj jo tu gair ki banho main,
Mat bhool ke wo jindgi bhi di hai humne,

Yaad ker wo waada kayamat ke din ka,
Tum bhool gaye lakin nibhaya hai humne,

Hum bhatak rahe hai aaj bhi tare milan ko,
Tum ne jammi ko to falak ko apnaya hai humne,

Tumne jammi ko to falak ko apnaya hai humne......

No comments:

Post a Comment