Aaj behan ne bade prem se,
rang birangaa chauk banaaya.
isake baad chauk ke upar,
apane bhaiya ko baithaya.
rang birangi raakhi baandhi,
fir sundar sa tilak lagaaya.
gol gol rasgulla khaa kar,
bhaiya mann hi mann muskaaya.
Thaal saja kar deep jala kar,
bhaayi ki aarti utaari.
mann hi mann mein kehati behana,
bhaiya rakhana laaj humaari.
karna sada behan ki raksha,
bhaiya tumko samjhaata hai.
kachche dhaagon ka ye bandhan,
raksha bandhan kehalaata hai.
rang birangaa chauk banaaya.
isake baad chauk ke upar,
apane bhaiya ko baithaya.
rang birangi raakhi baandhi,
fir sundar sa tilak lagaaya.
gol gol rasgulla khaa kar,
bhaiya mann hi mann muskaaya.
Thaal saja kar deep jala kar,
bhaayi ki aarti utaari.
mann hi mann mein kehati behana,
bhaiya rakhana laaj humaari.
karna sada behan ki raksha,
bhaiya tumko samjhaata hai.
kachche dhaagon ka ye bandhan,
raksha bandhan kehalaata hai.
No comments:
Post a Comment