Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Saturday 7 July 2012

bharat desh par kavita

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan ghar-ghar mein
desh bhakti ka junoon to basta hai
Par desh ke liye koi kuch karta nahi hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan k logon ke gyaan ki misaal di jati hai
Par Niraksharta itni hai
Ke logon ko Shaksharta ka mool hi nahi pata.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan ki Sanskriti saari duniya mein mashoor hai
Par aaj bhi jaat-paat aur dharm ke naam par
Logon k dilon mein dooriyan hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan har ghar mein RAM-LAXMAN baste hai
Par aaj wahi Ram aur Laxman
Apne hi baap-bhai k khoon ke pyase hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jo duniya ka sabse bada Gantantra hai
Par ussi gantantrata ki lash par baith kar
Yahaan ke adhikariyon ne sirf apni jeb bhari hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan ki jansankhya itni hai
Ke sadko par chalne wale kam
Aur sone wale zyada hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan Bhrashtachar itna zyada hai
Ke karmchariyon k kaale dhan se
Saare desh ki garibi hat sakti hai.

Jai ho Bharat desh ki...
Jahaan log har waqt apne adhikaro ki baat to karte hai
Par adhikaro ki baat karne wale wahi log
Aaj apne kartavya hi bhul gaye hai.

No comments:

Post a Comment