Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Sunday, 22 July 2012

Hindi Shayari

Ussko Chaha Toa

Uss ko Chaha toa iqrar karna na aya.
Kat gaye umer pyar karna na aya.
Manga uss ne kuch to mangi judai.
Aur ek hum thy k hume inkar karna na aya ..

Khushi Itni Ho

Khushi itni ho ki tum dikha sako,
Gum bas itna ho ki tum chupa sako,
Zindagi main kam se kam ek rishta toa aaisa jaroor rakhna,
Jiske liye tum mood off main bhi muskura sako

Zindagi Mohtaz Nahi

Zindagi mohtaz nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai,
Marta koi nahi kisi se juda hokar,
Waqt sabko jeena sikha deta hai.
By Manan Dutt from HAPUR

Na Jaane Aap Par

Na jaane aap par itna yakeen kyu hai
Aap ka khayal bhi itna haseen kyu hai
Kehte hai pyar ka dard mitha hota hai
To phir aankh se nikla aansu itna namkeen kyu hai
for : Anil
By Chandni

Khusiyan Bechkar

Khuda se thoda raham khareed lete.
Aapke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar bikti khusiyan meri.
Toa sab khusiyan bechkar aapka har gum khareed lete.
By Chedilal

Aadat Nahi Rahi

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi
Har pal muskurane ki aadat nahi rahi,
Ye sochkar ki koi aayega nahi manane,
Hume ruth jane ki aadat nahi rahi��…
Only for Supriya
By Subodh

Andhera Hota Hain

Hasrat nahi,armaan nahi..
Yaadoan ke siva aur mere paas kuch nahi..
Zindagi ki safar main kaun kiska hota hain???
Chhaya bhi saath nahi deti jab andhera hota hain�
BY Pradeep Upadhyay

Nah Jane

Nah jane kis-kis ki mautaay hai,
Aaj rukh pe koi naqab nahi,
Wo karam ungalyon pe ginte hai,
Zurm ko jinka koi hisab nahi�
By Muntum

Mohabbat yahan bikti

Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai

No comments:

Post a Comment