LAAL KILE PAR LAHRAATA TIRANGAA, BHARAT KI YEH SHAAN HAI;
RANG-BIRANGI JHANKI ISKI KARTI ISKA BAKHAAN HAI;
APNE BHARAT KI SUNDARTA PAR HUM SABKO ABHIMAN HAI;
DEKH DEKH ISS TIRANGE KO MUSKATA DIL AAJ HAI;
PYARA BHARAT DESH HAMARA, HUMKO ISS PAR NAAJ HAI..
BAAGON MEIN KHILTE PYARE PHOOL, DEKH DEKH KAR NAACHE MOR;
KHUSH HOKER BHAWRA BAAG MEIN KALIYON PAR KARTA HAI SHOR;
DEKH NAACHTA MOR BAAG MIEN NAACHE MANN MERA AAJ HAI;
DEKH NAACHTA MOR BAAG MIEN NAACHE MANN MERA AAJ HAI;
PYARA BHARAT DESH HAMARA HUMKO ISS PAR NAAZ HAI
RASHTRAGAAN JAN-GAN-MAN HAMARI EKTA KI PEHCHAN HAI;
DESH KI RAKSHA PAR MITNE KO TAIYYAR KHADA HAR JAWAAN HAI;
DEKH KE ISKE VEERO KA SHAURYA, NATMASTAK HUM AAJ HAIN;
PYARA BHARAT DESH HAMARA HUMKO ISS PAR NAAZ HAI
RANG-BIRANGI JHANKI ISKI KARTI ISKA BAKHAAN HAI;
SAARE JAHAAN SE BHI ACHCHHA APNA HINDUSTAAN HAI;
AAZAADI KO AAZAADI SE AAZAAD MANATA AAJ HAI;
PYARA BHARAT DESH HAMARA HUMKO ISS PAR NAAZ HAI..
PYARA BHARAT DESH HAMARA HUMKO ISS PAR NAAZ HAI.....
I like this patriotic poem so much. Here at Mothers'zone, you can find so many patriotic Hindi poems that describes Indian freedom fighter's dedication and devotion to the country.
ReplyDelete