Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Friday, 24 August 2012

Guzrey huye lamhon ki barish

Guzrey huye lamhon ki barish
kal raat phir se barsi thee
waqt ruk gya saa thaa
ankhen nam to ho gayee theen
dil ne phir udasiyon ke
aanchal mein chupa liya
khud ko bohat der tak
bohat der tak
har simt pheli taareeky
daraa rahi thee mujh ko
aankhen rotey rotey
bebasi mein
janey kab haan
jaaney kab ik simt
mein hi takney lagin
bohat dooor aasmaan pe kahin
halki si madham si
wo roshni thee
baarish janey kab
tham bhi gayee
rotey rotey laraztey se
hont bebasi mein bhi
dua maangney lagey
jab aasman taareekiyon ke baad
halki madham roshni ka
sahara letey huye
dunya ko phir se dekhey to
ujalon sa sawera har simt phel jaye to
mere dil ne bhi dua mangi ya Rab
meri aankhen mere hont
muskurana chahtey hein ...
mein ne dunya dekhi hai
dunya to kitni pyari hei
aiesa hi to hai
dukh hai to phir sukh bhi hai
uljhan ke kitney hal bhi to hein
barishon ne roz barastey huye
dho diya hai gham mera
subh ki kirnon ne dekho
mujh ko bhi ujalon ke sapurd
kar diya hai
to rona nahen mujhey ab
zindagi meri bhi hai
jeena to mujhey bhi hai
ab nahen sochna ke gham kia thaa
ke gham kion thaa
barasti huii baarishon mein
kitni khushi hai
koi saath ho naa saath ho
bheegi huii rutt mein bhi to
ajab maza hai
ik sakun hai
udasiyon ko hataney waley
badil bhi hein
aankhon ko noor kerney wali
roshni bhi hai
to guzrey huye lamho
tum bhula do mujhey
mein nahen janti ke tum kaun ho
mein ne jeena hai sang
hawaon ke jhoomtey huye
bheegi baarishon ko choomtey huye
kal raat mere dil ne meri dua ne
mujh se dard ke saarey aansoo
cheeen liye hein aur...
ab mein khush hoon.....!!!

No comments:

Post a Comment