Aaj mai tanha baitha hoon tere intezar mai
Kal the ham sath-sath apne se sansar mai
Zamane ki majbooriyon ne tujhe rok rakha hai
Aur mere junoon ne mujhe yahan la rakha hai
Tu na aati hai, par teri har wo baat yaad aati hai
Kal jo khil-khila kar tu hans rahi thi aaj muskati hai
Nazar ke saamne nahi hai tu par har jageh nazar aati hain
Saanso ko tham le pagli, ke teri khushboo yahan tak aati hai...
Aankhen band karta hoon to wahi hansta chehra nazar aata hai
Aur haya se wo chhupaya chehra bhi mujhe tadpa jata hai
Bhekhudi mai badhte wo tere haath mere haath ki taref
Qyamat ke har wo ek bosa rah-rah kar yaad aata hai
Kis ada se wo tera dekhna meri aankhon mai der talak
Kahe-ankahe baton ki wo mala utar dena mere gale tak
Muskurate huye wo tera choom lena mere galon ko
Aur fir kehna, pagal kahin ke...
Na khatam hone wali baten teri, jane kahan se aati thin
Aur mera khamoshi se takte rahna apni bekhayali main
Doob jana chahta hoon teri un mast aankhon ki gehrai mai
Ke ab to ye lagta hai, milega ka sukun sirf teri bahon mai
Guzar jayen mere sham-o-saher tere pyar ke daman mai
Jeene-Marne ka mazaa mai paon tere ishq ke daman mai
Ruk jaye dharti, ye gagan jhuk jayen, chand taare sab aj
Ke mere dil ki sadaa kahegi mere payar ki deewangi aaj
Bas, ke aaj, mujhe yaqeen hai, hoga khatam ye intezar
Tu aayegi, aayegi, ke aaj milegi mujhse meri bahaar....

No comments:
Post a Comment