Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Friday 31 August 2012

Humara bharat hum sabka bharat


Humara bharat,hum sab ka bharat,
Iss par na aaye koi bhi aafat;

Bharat mera abhimaan,
Bharat hai hamari shaan

Adbhut bharat ki sundarta, Jaise koi swarn haar,
pyara bharat, nyara bharat, isse hai hum sab ko pyaar;

sabse pyaar, desh hamaara,
karte hum use shat shat pranaam;

Ghotalo ki janjiro mein filhaal jakda hua hai humara pyara Bharat,
Tod kar saari zanjeeron ko, Aao milkar hum banaein Anookha Bharat;

Na aane denge hindustan par aafat
Hum sab dilayein muskurahat

Mera bharat tera bharat , hum sab ka hai ye bharat
anekta me ekta ki anuthi misal hai ye bharat
par dhere dhere kyu tukdo me bat ta ja raha hai mera bharat?

No comments:

Post a Comment