Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Friday 24 August 2012

wo sunati hogi ghazal

Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi
Ya meri terha faqat ashq bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer se kya aankh milati hogi

Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se
Mere matam ki sada arsh hilati hogi

Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein
Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi

Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas
Ab mohram ki terha eid manati hogi

Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal
Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi

Mere tareek zamanon se nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi

Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi
Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka
Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi

No comments:

Post a Comment