Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Tuesday, 14 August 2012

Mere Jeevan ki ….

Mere Jeevan ki Bagiya Mein

hain phool tumahari yaadon ke

Kuch nikhare se kuch bikhare se


Vismrat kar doon kaise usko

Jis pal mein tujhko dekha tha

Purwaiya ke jhonkon sa

Aanchal tera lahraya tha

Maadak si mahakti kaya ki

Khushbu mein hua tha main gumsum

Chehra udti julfon mein tha

Chandrakiran meghon mein jaise

Mere jeevan ki …


Chehre pe udti julf hatin

roop tera saakaar hua

Dhundhli tasveer thi sapnon mein

Darpan sa sab kuch saaf hua

Teri jheel samandar ankhiyon mein

Khwabon ki nayee taabeer bani

adharon ki larajti taano par

Preet lagi gaane jaise

Mere jeevan ki …

Din mere katne band huye

Nainan se door huyi nindiya

Tasveer si baaton yaadon ki

Chitrit maathe ki vo bindiya

Adharon pe mere sajne lagi

muskaane anjani si

Tanhai bhi thi bhool gayee

Mere ghar ka rasta jaise

Mere jeevan ki …

Saagar ke ret kinaron par

Jab haath tha tera haathon mein

Kaandhe pe tika ke sar ko tum

Meethi batiyon se tarti thin

Khamoshi bhi ban jaati thi

Dil se dil ki baaton ki jubaan

Aur door kshitij par faili laali

Haya ka rang banti thi jaise

Mere jeevan ki…


Tujhko hi dekha karta tha

Har manzil ki raahon mein

Khud ko bhi bhool main jaata tha

Tujko paakar raftaaron mein

Har chan mein tum, Har kan mein tum

Khud se bhi tha begana hua

Jaane kya jaadu tha Tujhmein

Thahre paani sa main tha jaise

Mere jeevan ki…

Hai dar aur deewar wahi

Par pahle si madhoshi nahin

veeranon mein main hun gum

Kyun chod gaye is jag ko tum

Sooni duniya tere saath bina

chip kar rota hoon ab tanha

Hans ke hi milta hoon main sabse

Dil ke aansoo dikhlaun kaise


Mere jeevan ki bagiya mein

hain phool tumahari yaadon ke

kuch nikhare se kuch bikhare se.

No comments:

Post a Comment