Roothe huye ujalon ki
udas haseen shamon mein
ahsas teri kashish ka
umadti julf ki badliyon ka
tip tip ki jaltarangon se
sargam teri aahat ka
kumhalaye man ke kono mein
ik shama aas ki jalti hai
lahrate aanchal jaisi
hawa ki sarsarahat se
chaukhat ki'sarhadon pe
jaise koi dastak suni
tum aaye yah dil bola
hirno si chanchalta liye
alhad kajrari ankhiyon mein
yugon yugon ka pyar liye
par man to man hai
almast sa bhanwara
jaane na sansar ke bandhan
bechain main bechain tum
aur phir yah sochun gumsum
ki kathor kaal ke chakra anant mein
fir milenge hum aur tum
udas haseen shamon mein
ahsas teri kashish ka
umadti julf ki badliyon ka
tip tip ki jaltarangon se
sargam teri aahat ka
kumhalaye man ke kono mein
ik shama aas ki jalti hai
lahrate aanchal jaisi
hawa ki sarsarahat se
chaukhat ki'sarhadon pe
jaise koi dastak suni
tum aaye yah dil bola
hirno si chanchalta liye
alhad kajrari ankhiyon mein
yugon yugon ka pyar liye
par man to man hai
almast sa bhanwara
jaane na sansar ke bandhan
bechain main bechain tum
aur phir yah sochun gumsum
ki kathor kaal ke chakra anant mein
fir milenge hum aur tum
No comments:
Post a Comment