aaj apni aankho.n men fir se aansoon-o ko sajaaya hai,
ke mere har alfaaz men aaj bas ussi ka naam aaya hai,
bewafai uss ne ki aur patthar dil mujhe kahaa jaata hai,
naa koi samjaa mujhe naa maine kisi ko samjaaya hai,
usse judee har cheez ko khudse juda kar dekha maine,
bas naa juda kar paaya ise aise lipta jo uska saaya hai,
kaise manaaye eid hum jab ye zindagi hi amaawas hui,
abhi chand nazar aayegaa ye bol dil ko behalaaya hai,
door ke musafir ise khandar samaj ke naa rook yanha,
ye kabhi mera aasiyana tha jise aaj maine jalaaya hai.

No comments:
Post a Comment