Upcoming Hollywood & Bollywood Watch Online Movies

Saturday, 18 August 2012

sharaab jis ne banaai use hamara salaam

Khuda ka shukar hai varna guzarti kaise yeh shaam
sharaab jis ne banaai use hamara salaam

ye jeete ji hi karaati hai sair jannat ki
isi liye hi to shayad hui sharab haraam
sharaab jis ne banaai use hamara salaam

ye maikada hai yahan ka nizaam ulta hai
jo ladkhada na saka pee ke ho gaya badnaam
sharaab jis ne banaai use hamara salaam

sharab itani sharifaana cheez hai ae Adam
ke pee ke aadami sach bolta hai subhaho sham

sharaab jis ne banaai use hamara salaam
khuda ka shukr hai varna guzarti kaise yeh shaam

No comments:

Post a Comment