Kya kar rahe hain aaj ke siyaasatdaan ye
kyoun badnaam kar rahe hain mera bhaarat mahaan ye
mitaa sakte hain ye bhookh do rotiyaan khaa kar bhi
bech khaa rahe hain kyoun apnaa eemaan ye
Dar bhi nahi rahe hain ye laathi se bhagwaan ki
sharmaa rahi hai ab inse haiwaaniyat bhi haiwaan ki
lagaa li hain jeb bhi inhone apne kafan par
le jaayenge shaayad saath sab, ab to shaitaan ye
Insaaniyat ki inse ab koi baat nahi
kutton ki hai, magar inki koi jaat nahi
aaye hain shehar mein marne ye kutton ki tarah
phir bhi magar lagte hain insaan ye
Kaun aayega, kaun karega, ab naye yug ki shuruaat
itnaa dabaaya, ab to uthega, jo badlega haalaat
lanka bhi jalegi, raawan bhi marenge
ab RAM ke haathon hogi mere jag ki kamaan ye

No comments:
Post a Comment