Hum dharmveer, hum karmveer,
hum yudhveer, Bharatwasi.
karte hum garv ahinsa par,
hum shantiveer Bharatwasi.
Hum hain saahas, himmat waale,
hum aafat ke parkaale hain.
hum toofano se takraate,
hum Bharat ke rakhwale hain.
Humne pairon se ronda hai,
parvat ke unche shikhron ko.
aur machalna sikhlaaya hai,
sagar ki chanchal leharon ko.
Hum dekh nahi ghabraate hain,
aayein kitani bhi baadhayein,
hum aage badhate jaate hain,
jab tak manjil na paa jaayein.
Hum saral hirdya hum kaaljayi,
mann mein rakhte Kaaba Kashi,
hum dharmveer, hum karmveer
hum yudhveer bharatwasi.
hum yudhveer, Bharatwasi.
karte hum garv ahinsa par,
hum shantiveer Bharatwasi.
Hum hain saahas, himmat waale,
hum aafat ke parkaale hain.
hum toofano se takraate,
hum Bharat ke rakhwale hain.
Humne pairon se ronda hai,
parvat ke unche shikhron ko.
aur machalna sikhlaaya hai,
sagar ki chanchal leharon ko.
Hum dekh nahi ghabraate hain,
aayein kitani bhi baadhayein,
hum aage badhate jaate hain,
jab tak manjil na paa jaayein.
Hum saral hirdya hum kaaljayi,
mann mein rakhte Kaaba Kashi,
hum dharmveer, hum karmveer
hum yudhveer bharatwasi.
No comments:
Post a Comment