Har roj SCHOOL ko jaayenge,
jeevan safal banaayenge.
har or jo faila andhkaar,
vidya se door bhagaayenge.
dukhiyon ki karenge sewa bhi,
achhe insaan kahaayenge.
vaham-bhram mein fasana nahi,
vaigyaanik soch apnaayenge.
shanti mein sada tarakki hai,
yahi sandesh failaayenge.
jo desh pe daale buri najar,
wo aankh fod dikhayenge.
beshak abhi hum bachchein hain,
marne se na ghabraayenge.
duniya mein apna naam rahega,
hum bhi shaheed kahaayenge.
jeevan safal banaayenge.
har or jo faila andhkaar,
vidya se door bhagaayenge.
dukhiyon ki karenge sewa bhi,
achhe insaan kahaayenge.
vaham-bhram mein fasana nahi,
vaigyaanik soch apnaayenge.
shanti mein sada tarakki hai,
yahi sandesh failaayenge.
jo desh pe daale buri najar,
wo aankh fod dikhayenge.
beshak abhi hum bachchein hain,
marne se na ghabraayenge.
duniya mein apna naam rahega,
hum bhi shaheed kahaayenge.
No comments:
Post a Comment